Monday, 27 July 2015

Sawan k Aansu

Kavi socha naa tha
jindagi yu wafa nivayegi
Kavi socha naa tha
tu mujse juda ho jayegi
Kavi socha naa tha
teri yaado k sahare jiyenge
Kavi socha na tha
sawan mein v aansu bahayenge-Rachit 26.07.2012,Guruvaar

Sunday, 26 July 2015

जिंदगी और मौत

जिंदगी और मौत
कही जशन
वही मातम ! - २०। ०७। २० १५ 

Thursday, 16 July 2015

Teri yaddon ka saya

Sitam ye nahi ki
tu mil naa paya mujhe
gam nahi apni bewafai ka
khafa hai hum iss bewafa jindagi se
teri yaado se mujhe juda kar degi
lekin humne v haarna nahi sikha
mar k v teri yaado k saath jiyenge-Rachit 14.07.2012,Shanivar

(25th)Dil ka Rishta(25th)

Maa ki mamta
Papa ka pyar
Bhai ki yaari
Behen ka biswas
aise hi to bante hai
dil k rishte
barta hai pyar
banta hai Parivar-Rachit 13.07.2012,Sukravaar

Monday, 13 July 2015

Sanam Bewafa.............

Tu agar bewafa ho v jaaye
to gam nahi
hame sirf waqt pe aitbaar hai
ye to waqt ka diya sitam hai
jindagi bewafa ho v jaaye
par maut hamesa
Wafa nivakar he rehti hai-Rachit 13.07.2012,Sukravar

Saturday, 11 July 2015

Mai bewafa hoon

Galti hamari hai
Ya waqt ki kami thi?
Jo tujhe samaj naa paaye!
Niva naa paaye rishte ko
Zindagi var ka rishta
Pal var mai jo tod diya
Maafi v majak lagti hai
Ab to mar k he chain milega-Rachit 10.07.2012,Mangalvar

¥Veer Gati¥

Risto ka bojh(burden) uthaya nhi jata
Pyar ka karz chukaya nhi jata
Jindagi to vardaan hai Iswar ki
marji se ise mitaya nahi jaata
galti se insaan karta hai khudkhusi
kyuki jeevan usse jina nahi aata
mar mar jita hai jo jindagi
khudkhusi k siva wo kuch kar nahi sakta
Chalti ka naam gaari hai
Ham to bas sawari hai
Koi fark nahi parta
Koi jaaye chahe aaye
Qyuki waqt ko rukna nahi aata
Chahe kuch v ho jaaye-Rachit 11.07.2012,Budhvar

Thursday, 9 July 2015

Tu meri jaan hai

Kitna pyar hai is dil mein
kaise samjau tujhe?
teri yaad mein tadapta hai
tere liye dhadakta hai
isse jyada aur kare to kya?
jism mera hai
lekin rooh to tujme basi hai pagli
Tu he to jaan hai meri-Rachit 04.07.2012,Budhvar

/........Zindagi ki Talash.........../

Manjil anjan hai
raste sunsan hai
kadam kadam par darr ka saya
fir v jinda hu
Zindagi ki talash karta hu
wo v murdo ki duniya mai-Rachit 04.07.2012,Budhvar